sim miTTi ki hai zar miTTi ka hai
siim miTTī kī hai zar miTTī kā hai
phir bhī tālib har bashar miTTī kā hai
ibtidā bhī intihā bhī ḳhaak hai
ziist kyā hai ik safar miTTī kā hai
chaak par chaḌhnā sañvarnā TūTnā
bas ye qissa muḳhtasar miTTī kā hai
ḳhvāb kyā hai ḳhvāb kā anjām kyā
ik gharauñdā ret par miTTī kā hai
maiñ du'ā bārish kī māñgūñ kis tarah
ai daraḳhto merā ghar miTTī kā hai
nibhtī hai donoñ meñ dekheñ kab talak
ek patthar ham-safar miTTī kā hai
vaz'-dārī 'ahd-e-nau meñ hai kahāñ
mujh meñ jo hai vo asar miTTī kā hai
siina hai faulād kā merā 'kamāl'
is ke andar dil magar miTTī kā hai
sim miTTi ki hai zar miTTi ka hai
phir bhi talib har bashar miTTi ka hai
ibtida bhi intiha bhi KHak hai
zist kya hai ek safar miTTi ka hai
chaak par chaDhna sanwarna TuTna
bas ye qissa muKHtasar miTTi ka hai
KHwab kya hai KHwab ka anjam kya
ek gharaunda ret par miTTi ka hai
main du'a barish ki mangun kis tarah
ai daraKHto mera ghar miTTi ka hai
nibhti hai donon mein dekhen kab talak
ek patthar ham-safar miTTi ka hai
waz'-dari 'ahd-e-nau mein hai kahan
mujh mein jo hai wo asar miTTi ka hai
sina hai faulad ka mera 'kamal'
is ke andar dil magar miTTi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.