sina figar chaak jigar kuchh na puchhiye
sina figar chaak jigar kuchh na puchhiye
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
siina figār chaak jigar kuchh na pūchhiye
uftād-hā-e-shām-o-sahar kuchh na pūchhiye
kyūñkar huī hai ziist basar kuchh na pochhiye
kyūñkar kaTe haiñ shām-o-sahar kuchh na pūchhiye
kaTne ko yuuñ to kaT hī ga.ī umr-e-ġham magar
kitnā tavīl thā ye safar kuchh na pūchhiye
phir ālam-e-ḳhayāl meñ aa.e vo be-naqāb
kyoñ aah meñ huā hai asar kuchh na pūchhiye
ham kab se jal rahe haiñ tamanna meñ aap kī
misl-e-charāġh-e-rāhguzar kuchh na pūchhiye
hosh-o-havās kho ga.ī vo chashm-e-avvalīñ
anjām-e-jalva-hā-e-digar kuchh na pūchhiye
sehn-e-chaman meñ aa.ī ye kaisī bahār-e-gul
kyoñ nāla-zan haiñ barg-o-shajar kuchh na pūchhiye
kyoñ baḌh ke le liye mire manzil ne ḳhud qadam
jab bhī kiyā hai azm-e-safar kuchh na pūchhiye
'nayyar' kisī ne ruḳh se jo ulTā zarā naqāb
kyoñ bujh gayā charāġh-e-sahar kuchh na pūchhiye
sina figar chaak jigar kuchh na puchhiye
uftad-ha-e-sham-o-sahar kuchh na puchhiye
kyunkar hui hai zist basar kuchh na pochhiye
kyunkar kaTe hain sham-o-sahar kuchh na puchhiye
kaTne ko yun to kaT hi gai umr-e-gham magar
kitna tawil tha ye safar kuchh na puchhiye
phir aalam-e-KHayal mein aae wo be-naqab
kyon aah mein hua hai asar kuchh na puchhiye
hum kab se jal rahe hain tamanna mein aap ki
misl-e-charagh-e-rahguzar kuchh na puchhiye
hosh-o-hawas kho gai wo chashm-e-awwalin
anjam-e-jalwa-ha-e-digar kuchh na puchhiye
sehn-e-chaman mein aai ye kaisi bahaar-e-gul
kyon nala-zan hain barg-o-shajar kuchh na puchhiye
kyon baDh ke le liye mere manzil ne KHud qadam
jab bhi kiya hai azm-e-safar kuchh na puchhiye
'nayyar' kisi ne ruKH se jo ulTa zara naqab
kyon bujh gaya charagh-e-sahar kuchh na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.