sinche gae jo zaKHm dawa se nikhar gae
sīñche ga.e jo zaḳhm davā se nikhar ga.e
ḳhālī hamāre dar se sabhī chārāgar ga.e
mushkil hai mere dil meñ tire ġham ko DhūñDnā
sāgar meñ aise kitne hī dariyā utar ga.e
maiñ is liye bhī dauḌ meñ aage nikal gayā
mere harīf vaqt se pahle Thahar ga.e
aa.ī ḳhizāñ to ishq ke ma.anī patā chale
pattoñ ke saath shāḳhoñ se kuchh phuul jhaḌ ga.e
laḌkoñ ko lag rahī thī mohabbat hasīn shai
merī misāl dī ga.ī saare sudhar ga.e
jaise nadī kā hashr samundar meñ girnā hai
vaise ye sānahe sabhī mujh par guzar ga.e
tum hī nahīñ ga.e ho mujhe chhoḌ kar 'amulya'
jaao tumhāre jaise ka.ī log mar ga.e
sinche gae jo zaKHm dawa se nikhar gae
KHali hamare dar se sabhi chaaragar gae
mushkil hai mere dil mein tere gham ko DhunDna
sagar mein aise kitne hi dariya utar gae
main is liye bhi dauD mein aage nikal gaya
mere harif waqt se pahle Thahar gae
aai KHizan to ishq ke mani pata chale
patton ke sath shaKHon se kuchh phul jhaD gae
laDkon ko lag rahi thi mohabbat hasin shai
meri misal di gai sare sudhar gae
jaise nadi ka hashr samundar mein girna hai
waise ye sanahe sabhi mujh par guzar gae
tum hi nahin gae ho mujhe chhoD kar 'amulya'
jao tumhaare jaise kai log mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.