Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sine ke dagh un ko dikhae na ja sake

Vali Madni

sine ke dagh un ko dikhae na ja sake

Vali Madni

MORE BYVali Madni

    siine ke daaġh un ko dikhā.e na sake

    mujh se fasāne ġham ke sunā.e na sake

    aise nagar meñ merā muqaddar huā muqīm

    jis meñ ḳhushī ke diip jalā.e na sake

    aivān-e-sabr aaj zamīñ-bos ho gayā

    palkoñ meñ ashk mujh se chhupā.e na sake

    ham ne to ḳhūn-e-dil se khilā.e haiñ gulsitāñ

    tum se to ḳhār-o-ḳhas bhī ugaa.e na sake

    gulshan jo thā ḳhulūs yaksar jhulas gayā

    jab nafratoñ ke sho'le bujhā.e na sake

    bār-e-garāñ uThātā rahā huuñ magar 'valī'

    ehsāñ kisī ke mujh se uThā.e na sake

    sine ke dagh un ko dikhae na ja sake

    mujh se fasane gham ke sunae na ja sake

    aise nagar mein mera muqaddar hua muqim

    jis mein KHushi ke dip jalae na ja sake

    aiwan-e-sabr aaj zamin-bos ho gaya

    palkon mein ashk mujh se chhupae na ja sake

    hum ne to KHun-e-dil se khilae hain gulsitan

    tum se to KHar-o-KHas bhi ugae na ja sake

    gulshan jo tha KHulus ka yaksar jhulas gaya

    jab nafraton ke sho'le bujhae na ja sake

    bar-e-garan uThata raha hun magar 'wali'

    ehsan kisi ke mujh se uThae na ja sake

    Source :
    • Book : Izhaar ki faslain (Pg. 70)
    • Author : wali madani
    • Publication : Maktaba-e-sadaf (2013)
    • Edition : 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now