sine mein charagh jal raha hai
siine meñ charāġh jal rahā hai
māthe se lahū ubal rahā hai
hoñToñ pe chaman khile hue haiñ
āñkhoñ se dhuāñ nikal rahā hai
paikar pe uge hue haiñ kāñTe
ehsās kā peḌ phal rahā hai
bātin meñ bapā hai ek tūfāñ
dariyā hai ki ruḳh badal rahā hai
kyā vaqt paḌā hai ai ġham-e-jāñ
ḳhud apnā vajūd khal rahā hai
maiñ jis kī talāsh ko chalā thā
vo shaḳhs to saath chal rahā hai
tanhā huuñ 'jalīl' is nagar meñ
maqtal meñ charāġh jal rahā hai
sine mein charagh jal raha hai
mathe se lahu ubal raha hai
honTon pe chaman khile hue hain
aankhon se dhuan nikal raha hai
paikar pe uge hue hain kanTe
ehsas ka peD phal raha hai
baatin mein bapa hai ek tufan
dariya hai ki ruKH badal raha hai
kya waqt paDa hai ai gham-e-jaan
KHud apna wajud khal raha hai
main jis ki talash ko chala tha
wo shaKHs to sath chal raha hai
tanha hun 'jalil' is nagar mein
maqtal mein charagh jal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.