sine mein tufan hai bhai
siine meñ tūfān hai bhaa.ī
hoñToñ pe muskān hai bhaa.ī
andar kuchh hai bāhar kuchh hai
ye kaisā insān hai bhaa.ī
dil ke andar kufr bharā hai
hāthoñ meñ qur.ān hai bhaa.ī
bol tirī auqāt batā duuñ
pesh-e-nazar dīvān hai bhaa.ī
qaabū meñ dil aaj nahīñ hai
bārish kā imkān hai bhaa.ī
kitne ā.īne toḌegā
be-chehra hairān hai bhaa.ī
ek ġhalat insān kī ḳhātir
bastī meñ haijān hai bhaa.ī
maiḳhāne ābād haiñ har-sū
aur masjid vīrān hai bhaa.ī
kitnī yādeñ dafn haiñ is meñ
dil bhī qabristān hai bhaa.ī
shaitānoñ ko chhūT milī hai
mushkil meñ insān hai bhaa.ī
sham.a 'zamīr' ik bhī nahīñ raushan
ḳhāna-e-dil vīrān hai bhaa.ī
sine mein tufan hai bhai
honTon pe muskan hai bhai
andar kuchh hai bahar kuchh hai
ye kaisa insan hai bhai
dil ke andar kufr bhara hai
hathon mein quran hai bhai
bol teri auqat bata dun
pesh-e-nazar diwan hai bhai
qabu mein dil aaj nahin hai
barish ka imkan hai bhai
kitne aaine toDega
be-chehra hairan hai bhai
ek ghalat insan ki KHatir
basti mein haijaan hai bhai
maiKHane aabaad hain har-su
aur masjid viran hai bhai
kitni yaaden dafn hain is mein
dil bhi qabristan hai bhai
shaitanon ko chhuT mili hai
mushkil mein insan hai bhai
shama 'zamir' ek bhi nahin raushan
KHana-e-dil viran hai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.