sine mein uske ek dil-e-dard-ashna to hai
siine meñ us ke ik dil-e-dard-āshnā to hai
vo falsafī nahīñ hai magar sochtā to hai
taaza havā se kah do chalī aa.e be-ḳhatar
dar band hai zarūr darīcha khulā to hai
qismat pe naaz kyoñ na karūñ muddatoñ ke baa'd
tum sā rah-e-hayāt meñ sāthī milā to hai
ḳhvāboñ kī narm sej pe so.e na ham kabhī
manzil kī justujū meñ pasīna bahā to hai
be-nūr sā ik aa.ina mere makān kā
har aib har hunar mirā pahchāntā to hai
ahl-e-qalam na māneñge lagtā hai merī baat
allāh kī kitāb meñ sab kuchh likhā to hai
dil bāġh-bāġh kyoñ na ho ye soch kar 'shafaq'
shahr-e-ġhazal meñ koī mirā ham-navā to hai
sine mein us ke ek dil-e-dard-ashna to hai
wo falsafi nahin hai magar sochta to hai
taza hawa se kah do chali aae be-KHatar
dar band hai zarur daricha khula to hai
qismat pe naz kyon na karun muddaton ke ba'd
tum sa rah-e-hayat mein sathi mila to hai
KHwabon ki narm sej pe soe na hum kabhi
manzil ki justuju mein pasina baha to hai
be-nur sa ek aaina mere makan ka
har aib har hunar mera pahchanta to hai
ahl-e-qalam na manenge lagta hai meri baat
allah ki kitab mein sab kuchh likha to hai
dil bagh-bagh kyon na ho ye soch kar 'shafaq'
shahr-e-ghazal mein koi mera ham-nawa to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.