siine pe haath rakkhe thā aur rang zard thā
kal shab ko kyā 'shafīq' tire dil meñ dard thā
furqat meñ pūchhte ho mirā rang zard thā
kuchh dil pe munhasir nahīñ rag rag meñ dard thā
un se kahūñgā dil ko mire aap dekh leñ
hai jis jagah nishān yahāñ pahle dard thā
taḌpā to thoḌā mil ga.ī lazzat bahut mujhe
kal shab ko mīThā mīThā mire dil meñ dard thā
jā kar lahad meñ chain se soyā meñ hashr tak
taklīf-e-marg se mirī rag rag meñ dard thā
ab shab kā loTnā na taḌapnā na āh-e-sard
us dil ko maut aa ga.ī jis dil meñ dard thā
nāvak-fagan ke sadqe meñ iizā se bach ga.e
us jā pe tiir maarā jahāñ dil meñ dard thā
mar kar 'shafīq' hijr kī iizā yūñhī rahī
mahshar meñ maiñ uThā mire pahlū meñ dard thā
sine pe hath rakkhe tha aur rang zard tha
kal shab ko kya 'shafiq' tere dil mein dard tha
furqat mein puchhte ho mera rang zard tha
kuchh dil pe munhasir nahin rag rag mein dard tha
un se kahunga dil ko mere aap dekh len
hai jis jagah nishan yahan pahle dard tha
taDpa to thoDa mil gai lazzat bahut mujhe
kal shab ko miTha miTha mere dil mein dard tha
ja kar lahad mein chain se soya mein hashr tak
taklif-e-marg se meri rag rag mein dard tha
ab shab ka loTna na taDapna na aah-e-sard
us dil ko maut aa gai jis dil mein dard tha
nawak-fagan ke sadqe mein iza se bach gae
us ja pe tir mara jahan dil mein dard tha
mar kar 'shafiq' hijr ki iza yunhi rahi
mahshar mein main uTha mere pahlu mein dard tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.