sine se tir-e-yar ka paikan nikal gaya
siine se tīr-e-yār kā paikāñ nikal gayā
afsos ghar meñ aan ke mehmāñ nikal gayā
hairāñ huuñ maiñ batā to huā jis pe tū ḳhafā
kyā aisā mere muñh se mirī jaañ nikal gayā
kuchh chāshnī-e-ishq se vāqif thā qais so
dīvāna ho ke sū-e-bayābāñ nikal gayā
ashkoñ ke saath siine se le ab to rahm kar
ḳhuuñ ho ke dil bhī dīda-e-giryāñ nikal gayā
tīr-e-nigāh-e-yār kā kyā hogā toḌ jab
siine ke paar yaar kā paikāñ nikal gayā
baḳhshish ko us kī dekh ke sab dil se ḳhauf-e-hashr
muzhda ho ai nadāmat-e-isyāñ nikal gayā
vo chhūTtā hai qaid se hastī kī jo koī
ho bū-e-gul kī tarah se uryāñ nikal gayā
ai 'aish' jā-e-ġhaur hai shikva ho us kā kyā
insāniyat se apnī jo insāñ nikal gayā
sine se tir-e-yar ka paikan nikal gaya
afsos ghar mein aan ke mehman nikal gaya
hairan hun main bata to hua jis pe tu KHafa
kya aisa mere munh se meri jaan nikal gaya
kuchh chashni-e-ishq se waqif tha qais so
diwana ho ke su-e-bayaban nikal gaya
ashkon ke sath sine se le ab to rahm kar
KHun ho ke dil bhi dida-e-giryan nikal gaya
tir-e-nigah-e-yar ka kya hoga toD jab
sine ke par yar ka paikan nikal gaya
baKHshish ko us ki dekh ke sab dil se KHauf-e-hashr
muzhda ho ai nadamat-e-isyan nikal gaya
wo chhuTta hai qaid se hasti ki jo koi
ho bu-e-gul ki tarah se uryan nikal gaya
ai 'aish' ja-e-ghaur hai shikwa ho us ka kya
insaniyat se apni jo insan nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.