sinon mein anal-haq ki chubhan dekh raha hun
sīnoñ meñ anal-haq kī chubhan dekh rahā huuñ
ik silsila-e-dār-o-rasan dekh rahā huuñ
phir aa.ī na ho shāmat-e-a.amāl kisī kī
phir vaqt ke māthe pe shikan dekh rahā huuñ
thoḌī sī bhī duniyā meñ sharāfat nahīñ baaqī
muddat se zamāne kā chalan dekh rahā huuñ
rahne do ye sab jhūTī mohabbat ke tamāshe
kis ko hai yahāñ kis kī lagan dekh rahā huuñ
pardā nahīñ duniyā meñ kisī ko bhī kisī kī
har shaḳhs ko apne hī magan dekh rahā huuñ
ik aag lagā dī mirī rangīnī-e-dil ne
maiñ dāġh-e-mohabbat kī jalan dekh rahā huuñ
taqrīr ke andāz tumheñ 'ḳhizr' mubārak
kis samt ko hai rū-e-suḳhan dekh rahā huuñ
sinon mein anal-haq ki chubhan dekh raha hun
ek silsila-e-dar-o-rasan dekh raha hun
phir aai na ho shamat-e-amal kisi ki
phir waqt ke mathe pe shikan dekh raha hun
thoDi si bhi duniya mein sharafat nahin baqi
muddat se zamane ka chalan dekh raha hun
rahne do ye sab jhuTi mohabbat ke tamashe
kis ko hai yahan kis ki lagan dekh raha hun
parda nahin duniya mein kisi ko bhi kisi ki
har shaKHs ko apne hi magan dekh raha hun
ek aag laga di meri rangini-e-dil ne
main dagh-e-mohabbat ki jalan dekh raha hun
taqrir ke andaz tumhein 'KHizr' mubarak
kis samt ko hai ru-e-suKHan dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.