sirat achchhi hai teri yar jamal achchha hai
sīrat achchhī hai tirī yaar jamāl achchhā hai
tū bahar-taur bas ai nek-ḳhisāl achchhā hai
be-qarārī hai vo aglī sī na vo dard-e-jigar
ab to kuchh kuchh tire bīmār kā haal achchhā hai
kab tire ḳhāl-e-munavvar se haiñ taare achchhe
kab tire abrū-e-pur-ḳham se hilāl achchhā hai
dekh kar aa.ine meñ qāmat-e-abrū se kahā
gulshan-e-dahr meñ ik ye hī nihāl achchhā hai
ek bosa pe jo dil detā hai 'sābir' le lo
mol kam hai magar ai jaan ye maal achchhā hai
sirat achchhi hai teri yar jamal achchha hai
tu bahar-taur bas ai nek-KHisal achchha hai
be-qarari hai wo agli si na wo dard-e-jigar
ab to kuchh kuchh tere bimar ka haal achchha hai
kab tere KHal-e-munawwar se hain tare achchhe
kab tere abru-e-pur-KHam se hilal achchha hai
dekh kar aaine mein qamat-e-abru se kaha
gulshan-e-dahr mein ek ye hi nihaal achchha hai
ek bosa pe jo dil deta hai 'sabir' le lo
mol kam hai magar ai jaan ye mal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.