sikha gaya hai wo kya kya mujhe adawat mein
sikhā gayā hai vo kyā kyā mujhe 'adāvat meñ
mirā vo ek 'adū dost thā haqīqat meñ
tab us ne khul ke nibhā.ī thī dushmanī apnī
maiñ ho gayā thā giraftār jab mohabbat meñ
thā kis pe apnī saḳhā kā baḌā ghamanD mujhe
maiñ apnā aap kise de gayā saḳhāvat meñ
yahāñ pe itnī bhī īmān-dārī achchhī nahīñ
zarā sā jhuuT milāyā karo sadāqat meñ
sikha gaya hai wo kya kya mujhe 'adawat mein
mera wo ek 'adu dost tha haqiqat mein
tab us ne khul ke nibhai thi dushmani apni
main ho gaya tha giraftar jab mohabbat mein
tha kis pe apni saKHa ka baDa ghamanD mujhe
main apna aap kise de gaya saKHawat mein
yahan pe itni bhi iman-dari achchhi nahin
zara sa jhuT milaya karo sadaqat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.