sikhaya aql ne barson hamein ilm-o-hunar sab kuchh
sikhaya aql ne barson hamein ilm-o-hunar sab kuchh
Nabi Bakhsh Nayab
MORE BYNabi Bakhsh Nayab
sikhāyā aql ne barsoñ hameñ ilm-o-hunar sab kuchh
jo sochā to junūñ hī thā junūñ se beshtar sab kuchh
agar ik tū nahīñ to mere qabze meñ nahīñ kuchh bhī
agar tū hai to hai pokhrāj aur la.al aur guhar sab kuchh
nazar aaya hameñ aslī Thikānā mudda.ā aslī
jab āñkheñ band kar liiñ nek aur bad dekh kar sab kuchh
mirā sar phoḌnā ronā taḌapnā ġhash pe ġhash aanā
batā denā zabānī bhī unheñ ai nāma-bar sab kuchh
mohabbat hai to phir sabr-o-sukūñ hosh-o-ḳhirad kyā haiñ
luTā.e jā tū is maidāñ meñ ai sāhib-nazar sab kuchh
huā jo kuchh thā mere paas nazr-e-ḳhāna-vīrānī
dil-e-mohkam dimāġh-e-ālā-tar sangīñ jigar sab kuchh
matā-e-ranj-o-ġham ganjīna-hā-e-hasrat-o-hirmāñ
mohabbat meñ bhalā kyā kuchh nahīñ hai mere ghar sab kuchh
matā-e-husn se ik zarra vo 'nāyāb' agar de de
uThā duuñ shash-jihat na āsmāñ shams-o-qamar sab kuchh
sikhaya aql ne barson hamein ilm-o-hunar sab kuchh
jo socha to junun hi tha junun se beshtar sab kuchh
agar ek tu nahin to mere qabze mein nahin kuchh bhi
agar tu hai to hai pokhraj aur lal aur guhar sab kuchh
nazar aaya hamein asli Thikana muddaa asli
jab aankhen band kar lin nek aur bad dekh kar sab kuchh
mera sar phoDna rona taDapna ghash pe ghash aana
bata dena zabani bhi unhen ai nama-bar sab kuchh
mohabbat hai to phir sabr-o-sukun hosh-o-KHirad kya hain
luTae ja tu is maidan mein ai sahib-nazar sab kuchh
hua jo kuchh tha mere pas nazr-e-KHana-virani
dil-e-mohkam dimagh-e-ala-tar sangin jigar sab kuchh
mata-e-ranj-o-gham ganjina-ha-e-hasrat-o-hirman
mohabbat mein bhala kya kuchh nahin hai mere ghar sab kuchh
mata-e-husn se ek zarra wo 'nayab' agar de de
uTha dun shash-jihat na aasman shams-o-qamar sab kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.