silsila-ha-e-siyasat hain salasil toD de
silsila-hā-e-siyāsat haiñ salāsil toḌ de
but tarāshe haiñ ye sab tū ne hī jāhil toḌ de
qatl honā kuchh tirī taqdīr kā hissa nahīñ
apnī qismat aap likh shamshīr-e-qātil toḌ de
kyoñ phire dar dar bhalā kaasa gadā.ī kā liye
chhoḌ daryūza-garī ye riit saa.il toḌ de
kyoñ qasam khaa.ī hai tū ne dil jalāne kī bhalā
jaan kaffāre meñ le le ahd-e-bātil toḌ de
ho yaqīñ kāmil to manzil paas tere aa.egī
rāste meñ jo bhī ho dīvār haa.il toḌ de
bulbul-e-jamhūr-e-maġhrib kī kanīz-e-ḳhūb-rū
paaoñ kī beḌī hai ai nādāñ ye paa.el toḌ de
kashtī-e-be-nūh ke patvār lahroñ se Dareñ
ho rahegā ek din ye hukm nāzil toḌ de
ho gayā apne qafas se phir 'hidāyat' pyaar kyoñ
hai giraftār-e-fusūñ dil lauh aamil toḌ de
silsila-ha-e-siyasat hain salasil toD de
but tarashe hain ye sab tu ne hi jahil toD de
qatl hona kuchh teri taqdir ka hissa nahin
apni qismat aap likh shamshir-e-qatil toD de
kyon phire dar dar bhala kasa gadai ka liye
chhoD daryuza-gari ye rit sail toD de
kyon qasam khai hai tu ne dil jalane ki bhala
jaan kaffare mein le le ahd-e-baatil toD de
ho yaqin kaamil to manzil pas tere aaegi
raste mein jo bhi ho diwar hail toD de
bulbul-e-jamhur-e-maghrib ki kaniz-e-KHub-ru
paon ki beDi hai ai nadan ye pael toD de
kashti-e-be-nuh ke patwar lahron se Daren
ho rahega ek din ye hukm nazil toD de
ho gaya apne qafas se phir 'hidayat' pyar kyon
hai giraftar-e-fusun dil lauh aamil toD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.