silsila zist ka hai gardish-e-ayyam ke sath
silsila ziist kā hai gardish-e-ayyām ke saath
kyā ta'ajjub jo basar hotī hai ālām ke saath
duur manzil huī jaatī hai har ik gaam ke saath
maiñ baḌhe jaatā huuñ phir bhī dil-e-nā-kām ke saath
dil mirā uljhā huā hai kisī gulfām ke saath
mere gulshan meñ bahār aa.ī magar daam ke saath
ziist meñ saarā tasalsul hai usī se qaa.em
ik nayā hotā hai āġhāz har anjām ke saath
ālam-e-yās meñ kyā jāniye kyā kar baiThe
Thahro kuchh der umīdo dil-e-nākām ke saath
'ishq meñ hotā hai yuuñ dil se tasādum dil kā
jis tarah jaam khanaktā hai koī jaam ke saath
aap ke pyaar ke ehsān bahut haiñ ham par
ranj bhī ham ne uThā.e baḌe ārām ke saath
mujh se kyā pūchhiye is baat kā matlab un se
naam jo aap kā lete haiñ mire naam ke saath
farsh ko 'arsh se ai dost bhalā kyā nisbat
'arsh aur us kā taqābul ho tire baam ke saath
is tarah zāt-e-'amar' se hai baqā vābasta
jis tarah merā taḳhallus hai mire naam ke saath
silsila zist ka hai gardish-e-ayyam ke sath
kya ta'ajjub jo basar hoti hai aalam ke sath
dur manzil hui jati hai har ek gam ke sath
main baDhe jata hun phir bhi dil-e-na-kaam ke sath
dil mera uljha hua hai kisi gulfam ke sath
mere gulshan mein bahaar aai magar dam ke sath
zist mein sara tasalsul hai usi se qaem
ek naya hota hai aaghaz har anjam ke sath
aalam-e-yas mein kya jaaniye kya kar baiThe
Thahro kuchh der umido dil-e-nakaam ke sath
'ishq mein hota hai yun dil se tasadum dil ka
jis tarah jam khanakta hai koi jam ke sath
aap ke pyar ke ehsan bahut hain hum par
ranj bhi hum ne uThae baDe aaram ke sath
mujh se kya puchhiye is baat ka matlab un se
nam jo aap ka lete hain mere nam ke sath
farsh ko 'arsh se ai dost bhala kya nisbat
'arsh aur us ka taqabul ho tere baam ke sath
is tarah zat-e-'amar' se hai baqa wabasta
jis tarah mera taKHallus hai mere nam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.