silsile pyar ke kuchh aur ghaTenge shayad
silsile pyaar ke kuchh aur ghaTeñge shāyad
fāsle dil ke abhī aur baḌheñge shāyad
apnī hī laash uThā.e hue kūcha-kūcha
apne kāñdhe pe liye log phireñge shāyad
bārish-e-sang hamāre hī saroñ par hogī
aur phir sar bhī hamāre hī kaTeñge shāyad
is zamīñ par hai ye sadiyoñ kī nishānī lekin
is ke āsār magar ab ke miTeñge shāyad
is chaman-zār kā har ġhuncha hai dahkā dahkā
mausam-e-gul meñ yahāñ sho.ale ugeñge shāyad
silsile pyar ke kuchh aur ghaTenge shayad
fasle dil ke abhi aur baDhenge shayad
apni hi lash uThae hue kucha-kucha
apne kandhe pe liye log phirenge shayad
barish-e-sang hamare hi saron par hogi
aur phir sar bhi hamare hi kaTenge shayad
is zamin par hai ye sadiyon ki nishani lekin
is ke aasar magar ab ke miTenge shayad
is chaman-zar ka har ghuncha hai dahka dahka
mausam-e-gul mein yahan shoale ugenge shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.