simaT na pae ki har-su bikhar gae the hum
simaT na paa.e ki har-sū bikhar ga.e the ham
hujūm-e-yās meñ kyā soch kar ga.e the ham
hue the raakh to kuchh rāsta hī aisā thā
dabī thī aag zamīñ meñ jidhar ga.e the ham
ye kyā ki phir se yahāñ hukmarāni-e-shab hai
hisār-e-shab to abhī toḌ kar ga.e the ham
vo kyā ḳhushī thī ki barbād kar ga.ī sab kuchh
vo kaisā ġham thā ki jis se sañvar ga.e the ham
milī thiiñ phir bhī vo dīvāreñ ajnabī ban kar
agarche shaam se pahle hī ghar ga.e the ham
ghire the maslahat-andesiyoñ meñ puurī tarah
jo dil kā saath na dete to mar ga.e the ham
simaT na pae ki har-su bikhar gae the hum
hujum-e-yas mein kya soch kar gae the hum
hue the rakh to kuchh rasta hi aisa tha
dabi thi aag zamin mein jidhar gae the hum
ye kya ki phir se yahan hukmarani-e-shab hai
hisar-e-shab to abhi toD kar gae the hum
wo kya KHushi thi ki barbaad kar gai sab kuchh
wo kaisa gham tha ki jis se sanwar gae the hum
mili thin phir bhi wo diwaren ajnabi ban kar
agarche sham se pahle hi ghar gae the hum
ghire the maslahat-andesiyon mein puri tarah
jo dil ka sath na dete to mar gae the hum
- Book : Masaafat Raigaan Thi (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.