simaTti dhup tahrir-e-hina si hoti jati hai
simaTtī dhuup tahrīr-e-hinā sī hotī jaatī hai
salonī shaam jaise ḳhuuñ kī pyāsī hotī jaatī hai
thake hoñThoñ se bosoñ ke parinde uḌte jaate haiñ
havas jaaḌe kī shāmoñ kī udāsī hotī jaatī hai
sukūt-e-shab meñ tum āvāz kā shīsha girā denā
fazā sunsān kamre kī niñdāsī hotī jaatī hai
koī rakh de kisī ilzām kā taaza gulāb is meñ
bichhaḌtī chāhatoñ kī god baasī hotī jaatī hai
to phir ik baar ye chāk-e-garebāñ sab ko dikhlā deñ
bahut badnām apnī ḳhush-libāsī hotī jaatī hai
ġhazal kī sohbatoñ se aur kuchh hāsil nahīñ lekin
ġhazāloñ se zarā sūrat-shanāsī hotī jaatī hai
simaTti dhup tahrir-e-hina si hoti jati hai
saloni sham jaise KHun ki pyasi hoti jati hai
thake honThon se boson ke parinde uDte jate hain
hawas jaDe ki shamon ki udasi hoti jati hai
sukut-e-shab mein tum aawaz ka shisha gira dena
faza sunsan kamre ki nindasi hoti jati hai
koi rakh de kisi ilzam ka taza gulab is mein
bichhaDti chahaton ki god basi hoti jati hai
to phir ek bar ye chaak-e-gareban sab ko dikhla den
bahut badnam apni KHush-libasi hoti jati hai
ghazal ki sohbaton se aur kuchh hasil nahin lekin
ghazalon se zara surat-shanasi hoti jati hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 30)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.