sinaon kis tarah un ko hai kaisi dastan meri
sināoñ kis tarah un ko hai kaisī dāstāñ merī
kabhī merī zabāñ un kī kabhī un kī zabāñ merī
hamesha zindagī zer-o-zabar bardāsht kartī hai
guzartī jā rahī hai is tarah umr-e-ravāñ merī
banāyā mo'atabar insāñ ko jis ne sajda karne par
maiñ be-bahra rahūñ us se ye himmat hai kahāñ merī
terī ghaTtī huī shohrat mujhe āgāh kartī hai
kahīñ barsoñ kī mehnat ho na jaa.e rā.egāñ merī
haqīqat meñ mohabbat zindagī kā ik qarīna hai
na bikhrī aaj tak zebā.ish-e-kaun-o-makāñ merī
sinaon kis tarah un ko hai kaisi dastan meri
kabhi meri zaban un ki kabhi un ki zaban meri
hamesha zindagi zer-o-zabar bardasht karti hai
guzarti ja rahi hai is tarah umr-e-rawan meri
banaya mo'atabar insan ko jis ne sajda karne par
main be-bahra rahun us se ye himmat hai kahan meri
teri ghaTti hui shohrat mujhe aagah karti hai
kahin barson ki mehnat ho na jae raegan meri
haqiqat mein mohabbat zindagi ka ek qarina hai
na bikhri aaj tak zebaish-e-kaun-o-makan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.