sirf apna KHasara karte hain
sirf apnā ḳhasāra karte haiñ
'ishq jo bhī dubāra karte haiñ
ab mohabbat nahīñ koī kartā
vaqt hī sab guzārā karte haiñ
lagtī hai jab kamī kisī meñ phir
aa.ina ham nihārā karte haiñ
saath the tum to ḳhush hī rahte the
ab to ġham meñ guzārā karte haiñ
yuuñ koī yaad tak nahīñ kartā
kaam ho to pukārā karte haiñ
aag lagtī hai ghar pe un ke bhī
duur se jo nazāra karte haiñ
hai kisī se gila nahīñ 'rāzī'
ḳhud pe ġhussa utārā karte haiñ
sirf apna KHasara karte hain
'ishq jo bhi dubara karte hain
ab mohabbat nahin koi karta
waqt hi sab guzara karte hain
lagti hai jab kami kisi mein phir
aaina hum nihaara karte hain
sath the tum to KHush hi rahte the
ab to gham mein guzara karte hain
yun koi yaad tak nahin karta
kaam ho to pukara karte hain
aag lagti hai ghar pe un ke bhi
dur se jo nazara karte hain
hai kisi se gila nahin 'raazi'
KHud pe ghussa utara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.