sirf baaton se bahal jaane ka qail to nahin
sirf bātoñ se bahal jaane kā qaa.il to nahīñ
dil mirā saada hai ehsās se ġhāfil to nahīñ
vaar kartā hai nazar se yahī qātil to nahīñ
choT khā kar jo taḌaptā hai mirā dil to nahīñ
shor-o-ġhul baḌhtā hī jaatā hai mire kānoñ meñ
dil meñ jo hai vahī tūfāñ lab-e-sāhil to nahīñ
qāfile vāloñ ne bistar jahāñ apne khole
sach to ye hai vo mire naam kī manzil to nahīñ
sāmnā ho to pata bhī chale phir kaun hai kyā
maiñ ne maanā ki koī mere muqābil to nahīñ
mahfileñ aur bhī haiñ husn-o-adā kī lekin
terī mahfil kī tarah ab koī mahfil to nahīñ
ham to tayyār haiñ ik hashr uThāne ke liye
aap ḳhud hī kisī tūfān se ġhāfil to nahīñ
duur hī se nazar aa jaatā hai 'jāmī' terā
bhiiḌ meñ rah ke bhī vo bhiiḌ meñ shāmil to nahīñ
sirf baaton se bahal jaane ka qail to nahin
dil mera sada hai ehsas se ghafil to nahin
war karta hai nazar se yahi qatil to nahin
choT kha kar jo taDapta hai mera dil to nahin
shor-o-ghul baDhta hi jata hai mere kanon mein
dil mein jo hai wahi tufan lab-e-sahil to nahin
qafile walon ne bistar jahan apne khole
sach to ye hai wo mere nam ki manzil to nahin
samna ho to pata bhi chale phir kaun hai kya
main ne mana ki koi mere muqabil to nahin
mahfilen aur bhi hain husn-o-ada ki lekin
teri mahfil ki tarah ab koi mahfil to nahin
hum to tayyar hain ek hashr uThane ke liye
aap KHud hi kisi tufan se ghafil to nahin
dur hi se nazar aa jata hai 'jami' tera
bhiD mein rah ke bhi wo bhiD mein shamil to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.