sirf do lamhon ki ye zindagi
sirf do lamhoñ kī ye zindagī
ek lamha ġham kā hai duujā ḳhushī
aaj gulshan meñ nahīñ miltī bahār
kal javāñ hogī chaman kī har kalī
phir vahī gulshan vahī bhauñroñ kā khel
baaġh ke har goshe meñ hai khalbalī
kal sabhī dariyā bahut ḳhāmosh the
aaj iThlāne lagī hai har nadī
kal banā thā ghar yahī mātam-kada
aaj ḳhushiyoñ kī havā chalne lagī
zindagī to kashmakash kā naam hai
mushkiloñ se tū na ghabrānā kabhī
āshnā-e-zindagī ban kar jiyo
bhuul jaao zindagī kaise kaTī
sirf do lamhon ki ye zindagi
ek lamha gham ka hai duja KHushi
aaj gulshan mein nahin milti bahaar
kal jawan hogi chaman ki har kali
phir wahi gulshan wahi bhaunron ka khel
bagh ke har goshe mein hai khalbali
kal sabhi dariya bahut KHamosh the
aaj iThlane lagi hai har nadi
kal bana tha ghar yahi matam-kada
aaj KHushiyon ki hawa chalne lagi
zindagi to kashmakash ka nam hai
mushkilon se tu na ghabrana kabhi
aashna-e-zindagi ban kar jiyo
bhul jao zindagi kaise kaTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.