sirf ek shikayat hai nahin koi gila aur
sirf ek shikāyat hai nahīñ koī gila aur
kahne ko kahā aur to karne ko kiyā aur
ye apne ḳhudāvand se bichhḌā huā banda
puujā ke liye roz banātā hai ḳhudā aur
is daur meñ jo ishq kare soch le pahle
ye aur zamāna hai zamāne kī havā aur
bhīgī huī palkeñ hoñ to phailā huā dāman
mā.il-ba-karam vo hoñ to phir chāhiye kyā aur
ye ham hī samajhte haiñ ḳhatā ham se huī kyā
haiñ dār-o-rasan hech ki hai is kī sazā aur
ab manzil-e-jānāñ ke kaThin moḌ haiñ aage
ab rāh-numā aur hudī aur dirā aur
sayyād tire daam ko pahchān ga.e said
ab daam bichhā aur koī daana girā aur
apnāo na tum aam hasīnoñ kī adā.eñ
uslūb-e-sitam aur koī tarz-e-jafā aur
chāra ġham-e-jānāñ kā tabīboñ se na hogā
kahte haiñ ki is dard kī hai koī davā aur
gulshan kī fazāoñ meñ bhī kar dekheñ uḌāneñ
yaañ kunj-e-qafas meñ hai phaḌakne kā mazā aur
hotā hai kabhī yuuñ bhī mohabbat ke jahāñ meñ
karte haiñ ḳhatā aur to hotī hai atā aur
sirf ek shikayat hai nahin koi gila aur
kahne ko kaha aur to karne ko kiya aur
ye apne KHudawand se bichhDa hua banda
puja ke liye roz banata hai KHuda aur
is daur mein jo ishq kare soch le pahle
ye aur zamana hai zamane ki hawa aur
bhigi hui palken hon to phaila hua daman
mail-ba-karam wo hon to phir chahiye kya aur
ye hum hi samajhte hain KHata hum se hui kya
hain dar-o-rasan hech ki hai is ki saza aur
ab manzil-e-jaanan ke kaThin moD hain aage
ab rah-numa aur hudi aur dira aur
sayyaad tere dam ko pahchan gae said
ab dam bichha aur koi dana gira aur
apnao na tum aam hasinon ki adaen
uslub-e-sitam aur koi tarz-e-jafa aur
chaara gham-e-jaanan ka tabibon se na hoga
kahte hain ki is dard ki hai koi dawa aur
gulshan ki fazaon mein bhi kar dekhen uDanen
yan kunj-e-qafas mein hai phaDakne ka maza aur
hota hai kabhi yun bhi mohabbat ke jahan mein
karte hain KHata aur to hoti hai ata aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.