sirf ek uske KHafa hone se
sirf ik us ke ḳhafā hone se
mujh ko matlab na rahā hone se
zindagī maut se mil paatī nahīñ
biich meñ ek ḳhalā hone se
shaam bikhrī hai mire dil kī tarah
terī zulfoñ kī havā hone se
dil to yuuñ raah pe aane se rahā
chaar chhe din kī sazā hone se
kyā bigaḌ jaatā hai terā mire yaar
ham ġharīboñ kā bhalā hone se
ab bhī bandoñ meñ chhupe baiThe ho
kyā milā tum ko ḳhudā hone se
kaisī bharpūr ibādat kī hai
kuchh namāzoñ ke qazā hone se
jagmagā uThtā hai kamrā saarā
sūrat ā.īna-numā hone se
sirf ek us ke KHafa hone se
mujh ko matlab na raha hone se
zindagi maut se mil pati nahin
bich mein ek KHala hone se
sham bikhri hai mere dil ki tarah
teri zulfon ki hawa hone se
dil to yun rah pe aane se raha
chaar chhe din ki saza hone se
kya bigaD jata hai tera mere yar
hum gharibon ka bhala hone se
ab bhi bandon mein chhupe baiThe ho
kya mila tum ko KHuda hone se
kaisi bharpur ibaadat ki hai
kuchh namazon ke qaza hone se
jagmaga uThta hai kamra sara
surat aaina-numa hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.