sirf saya hi nahin panw mein rakkha hua hai
sirf saaya hī nahīñ paañv meñ rakkhā huā hai
ek sūraj bhī mirī chhāñv meñ rakkhā huā hai
ye alag baat ki maiñ shahr-zada huuñ lekin
bachpanā ab bhī mirā gaañv meñ rakkhā huā hai
dar-ba-dar DhūñDhtā phirtā hai zamāna jis ko
vo ghanā saaya faqat maaoñ meñ rakkhā huā hai
koī rishta na sahī koī ta'alluq na sahī
kyā ye kam hai ki shanāsāoñ meñ rakkhā huā hai
kyā kareñ baañT liyā hai ġham-e-duniyā ne hameñ
sar bachā hai so tire paañv meñ rakkhā huā hai
sirf saya hi nahin panw mein rakkha hua hai
ek suraj bhi meri chhanw mein rakkha hua hai
ye alag baat ki main shahr-zada hun lekin
bachpana ab bhi mera ganw mein rakkha hua hai
dar-ba-dar DhunDhta phirta hai zamana jis ko
wo ghana saya faqat maon mein rakkha hua hai
koi rishta na sahi koi ta'alluq na sahi
kya ye kam hai ki shanasaon mein rakkha hua hai
kya karen banT liya hai gham-e-duniya ne hamein
sar bacha hai so tere panw mein rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.