sirf ye to nahin dariya mein utar sakta hun
sirf ye to nahīñ dariyā meñ utar saktā huuñ
maiñ kisī vaqt bhī maujoñ se ubhar saktā huuñ
tū zamāne se mujhe itnā bhī mahfūz na rakh
maiñ to ab terī hifāzat meñ bhī mar saktā huuñ
tū mirī zaat ko ab āḳhirī tārīḳh na de
is se pahle to maiñ kuchh aur bhī kar saktā huuñ
tū ne bātoñ se dikhā.e haiñ manāzir jo yahāñ
maiñ to is peT ko va.adoñ se bhī bhar saktā huuñ
ye jo baḌh-chaḌh ke navāzā hai mujhe tū ne yahāñ
ik isī baat kī hairat se bikhar saktā huuñ
ḳhauf dīvār ke girne kā nahīñ hai 'shahzād'
maiñ to dīvār ke hilne se bhī Dar saktā huuñ
sirf ye to nahin dariya mein utar sakta hun
main kisi waqt bhi maujon se ubhar sakta hun
tu zamane se mujhe itna bhi mahfuz na rakh
main to ab teri hifazat mein bhi mar sakta hun
tu meri zat ko ab aaKHiri tariKH na de
is se pahle to main kuchh aur bhi kar sakta hun
tu ne baaton se dikhae hain manazir jo yahan
main to is peT ko wadon se bhi bhar sakta hun
ye jo baDh-chaDh ke nawaza hai mujhe tu ne yahan
ek isi baat ki hairat se bikhar sakta hun
KHauf diwar ke girne ka nahin hai 'shahzad'
main to diwar ke hilne se bhi Dar sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.