sisak rahi hai andheron mein sham-e-tanhai
sisak rahī hai añdheroñ meñ shām-e-tanhā.ī
koī charāġh jalāo ba-nām-e-tanhā.ī
sadā rahe yūñhī ābād shahr-e-shīshagarāñ
ki mere naam kiyā vaqf jām-e-tanhā.ī
ravish ravish jo haiñ TuuTe hue kuchh ā.īne
qadam qadam hai nishān-e-ḳhirām-e-tanhā.ī
ye kis ḳhayāl se raushan hai rū-e-shām-e-firāq
ye kaisī lau se damaktā hai bām-e-tanhā.ī
sajā.ī hoñToñ pe dīvār-o-dar kī ḳhāmoshī
kuchh is tarah bhī kiyā ehtimām-e-tanhā.ī
likhī haiñ palkoñ se be-harf bhī munājāteñ
kalām-e-fan se kiyā ehtirām-e-tanhā.ī
chamakte dard se 'akram' sahīfa-e-dil par
ubhar rahā hai musalsal kalām-e-tanhā.ī
sisak rahi hai andheron mein sham-e-tanhai
koi charagh jalao ba-nam-e-tanhai
sada rahe yunhi aabaad shahr-e-shishagaran
ki mere nam kiya waqf jam-e-tanhai
rawish rawish jo hain TuTe hue kuchh aaine
qadam qadam hai nishan-e-KHiram-e-tanhai
ye kis KHayal se raushan hai ru-e-sham-e-firaq
ye kaisi lau se damakta hai baam-e-tanhai
sajai honTon pe diwar-o-dar ki KHamoshi
kuchh is tarah bhi kiya ehtimam-e-tanhai
likhi hain palkon se be-harf bhi munajaten
kalam-e-fan se kiya ehtiram-e-tanhai
chamakte dard se 'akram' sahifa-e-dil par
ubhar raha hai musalsal kalam-e-tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.