sisakti zindagi ko zindagani kaun deta hai
sisaktī zindagī ko zindagānī kaun detā hai
ḳhizāñ ke baad phir se rut-suhānī kaun detā hai
mirī āñkhoñ meñ sahrāoñ kā manzar dekhne vaalo
tah-e-sahrā ye dariyā ko ravānī kaun detā hai
nahīñ mujh se koī shikva-gila to sach batāo phir
mirī bātoñ ko rañg-e-bad-gumānī kaun detā hai
shah-e-kan.āñ kī chāhat meñ divānī misr kī malika
usī malika ko phir daur-e-javānī kaun detā hai
vahāñ par āb-o-gil se ruuh kī tashkīl hotī hai
yahāñ lā kar shu.ūr-e-zindagānī kaun detā hai
mahak uThtā har ik gosha-e-sher-o-suḳhan terā
'sadaf' hoñToñ ko tere gul-fishānī kaun detā hai
sisakti zindagi ko zindagani kaun deta hai
KHizan ke baad phir se rut-suhani kaun deta hai
meri aankhon mein sahraon ka manzar dekhne walo
tah-e-sahra ye dariya ko rawani kaun deta hai
nahin mujh se koi shikwa-gila to sach batao phir
meri baaton ko rang-e-bad-gumani kaun deta hai
shah-e-kanan ki chahat mein diwani misr ki malika
usi malika ko phir daur-e-jawani kaun deta hai
wahan par aab-o-gil se ruh ki tashkil hoti hai
yahan la kar shuur-e-zindagani kaun deta hai
mahak uThta har ek gosha-e-sher-o-suKHan tera
'sadaf' honTon ko tere gul-fishani kaun deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.