sitara ban kar chamak raha hai
sitāra ban kar chamak rahā hai
vo kis qabīle kā devtā hai
zamīñ pe patte bikhar rahe haiñ
ḳhizāñ kā mausam bahut burā hai
ajab añdheroñ meñ kho gayā huuñ
patā nahīñ dil kahāñ bujhā hai
purāne chehroñ se aaj bhī to
tumhārā album sajā huā hai
na.e charāġhoñ ke saath sab haiñ
bujhe diyoñ kā faqat ḳhudā hai
sitara ban kar chamak raha hai
wo kis qabile ka dewta hai
zamin pe patte bikhar rahe hain
KHizan ka mausam bahut bura hai
ajab andheron mein kho gaya hun
pata nahin dil kahan bujha hai
purane chehron se aaj bhi to
tumhaara album saja hua hai
nae charaghon ke sath sab hain
bujhe diyon ka faqat KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.