sitara TuT ke bikhra aur ek jahan khula
sitāra TuuT ke bikhrā aur ik jahān khulā
ajiib ruḳh se añdhere meñ āsmān khulā
tulū-e-sub.h se pahle maiñ chhoḌ jā.ūñgā
siyāh raat ke pahlū meñ ik makān khulā
phir is ke ba.ad koī raah vāpsī kī na thī
havā ke dosh pe is tarah bādbān khulā
maiñ jis ko DhūñD rahā thā udaas rātoñ meñ
sitāra ban ke vo palkoñ ke darmiyān khulā
na jaane kaun mire ḳhvāb le gayā mujh se
ki umr bhar na kabhī phir ye sā.ebān khulā
kabhī jo haath uThā.e 'ravish' duā ke liye
laboñ ke saath samā.at kā bhī gumān khulā
sitara TuT ke bikhra aur ek jahan khula
ajib ruKH se andhere mein aasman khula
tulu-e-subh se pahle main chhoD jaunga
siyah raat ke pahlu mein ek makan khula
phir is ke baad koi rah wapsi ki na thi
hawa ke dosh pe is tarah baadban khula
main jis ko DhunD raha tha udas raaton mein
sitara ban ke wo palkon ke darmiyan khula
na jaane kaun mere KHwab le gaya mujh se
ki umr bhar na kabhi phir ye saeban khula
kabhi jo hath uThae 'rawish' dua ke liye
labon ke sath samaat ka bhi guman khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.