sitare sameTo sahar ho rahi hai
sitare sameTo sahar ho rahi hai
Faizan Jaffery Al-Khwarzami
MORE BYFaizan Jaffery Al-Khwarzami
sitāre sameTo sahar ho rahī hai
ridā-e-tamanna bhī tar ho rahī hai
jinheñ zindagī ne bahut kuchh diyā hai
unhī par tumhārī nazar ho rahī hai
tire rū-barū pesh hone kī ḳhātir
mirī zaat zer-o-zabar ho rahī hai
sañbhālo kamar ko ki zor-e-havā se
idhar ho rahī hai udhar ho rahī hai
karūñ kaise tark-e-fareb-e-tamanna
isī par to apnī guzar ho rahī hai
hamāre savāloñ pe ai be-muravvat
agar ho rahī hai magar ho rahī hai
tumhārī ma’iyyat meñ ai hāsil-e-kul
mirī zindagī be-samar ho rahī hai
mujhe yuuñ lagā jaise tum ne kahā ho
hamāre binā kyā basar ho rahī hai
sitare sameTo sahar ho rahi hai
rida-e-tamanna bhi tar ho rahi hai
jinhen zindagi ne bahut kuchh diya hai
unhi par tumhaari nazar ho rahi hai
tere ru-baru pesh hone ki KHatir
meri zat zer-o-zabar ho rahi hai
sanbhaalo kamar ko ki zor-e-hawa se
idhar ho rahi hai udhar ho rahi hai
karun kaise tark-e-fareb-e-tamanna
isi par to apni guzar ho rahi hai
hamare sawalon pe ai be-murawwat
agar ho rahi hai magar ho rahi hai
tumhaari ma’iyyat mein ai hasil-e-kul
meri zindagi be-samar ho rahi hai
mujhe yun laga jaise tum ne kaha ho
hamare bina kya basar ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.