sitare shams qamar kahkashan banaenge
sitāre shams qamar kahkashāñ banā.eñge
isī zamīn pe ham āsmāñ banā.eñge
sunā hai dhuup se bezār ho ke kuchh ahbāb
kisī pahāḌ kī tah meñ makāñ banā.eñge
hamesha saath meñ rahnā bhī ek aafat hai
so apne aap se ham dūriyāñ banā.eñge
na hogā nām-o-nishāñ bhī jahāñ pe nafrat kā
mohabbatoñ se bharā vo jahāñ banā.eñge
yaqīn toḌ diyā karte haiñ jahāñ vaale
so ab yaqīn nahīñ ham gumāñ banā.eñge
milegā haq jo banāne kā aur miTāne kā
fulāñ miTā.eñge 'alkā' fulāñ banā.eñge
sitare shams qamar kahkashan banaenge
isi zamin pe hum aasman banaenge
suna hai dhup se bezar ho ke kuchh ahbab
kisi pahaD ki tah mein makan banaenge
hamesha sath mein rahna bhi ek aafat hai
so apne aap se hum duriyan banaenge
na hoga nam-o-nishan bhi jahan pe nafrat ka
mohabbaton se bhara wo jahan banaenge
yaqin toD diya karte hain jahan wale
so ab yaqin nahin hum guman banaenge
milega haq jo banane ka aur miTane ka
fulan miTaenge 'alka' fulan banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.