sitaro tum na so jaana abhi kuchh raat baqi hai
sitaro tum na so jaana abhi kuchh raat baqi hai
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
sitāro tum na so jaanā abhī kuchh raat baaqī hai
adhūrī dāstāñ merī hai aur kuchh baat baaqī hai
maiñ vāpas jā rahā thā mil ke un se bin kahe lekin
mire dil ne pukārā Thahro un se baat baaqī hai
hamārī manzileñ ik haiñ judā haiñ rāste be-shak
magar naqsh-e-qadam har rahguzar par saat baaqī hai
pahuñch kar leñge dam ham manzil-e-maqsūd par hamdam
yaqīñ kāmil hai ye dil ko ki us kī zaat baaqī hai
tarannum ban ga.ī āvāz merī jab bhī maiñ royā
ye terā zarf hai tū jāntā kyā baat baaqī hai
shab-e-furqat kī ghaḌiyāñ ginte ginte umr guzrī hai
sahārā kyā sahar detī ki dil meñ raat baaqī hai
fanā honā thā ik din so fanā hotī ga.ī har shai
na ye baaqī na vo baaqī faqat ik zaat baaqī hai
sukūn-e-dil mayassar ho 'sa.īd' us shaḳhs se kaise
abhī to āḳhirī manzil pe us kī maat baaqī hai
sitaro tum na so jaana abhi kuchh raat baqi hai
adhuri dastan meri hai aur kuchh baat baqi hai
main wapas ja raha tha mil ke un se bin kahe lekin
mere dil ne pukara Thahro un se baat baqi hai
hamari manzilen ek hain juda hain raste be-shak
magar naqsh-e-qadam har rahguzar par sat baqi hai
pahunch kar lenge dam hum manzil-e-maqsud par hamdam
yaqin kaamil hai ye dil ko ki us ki zat baqi hai
tarannum ban gai aawaz meri jab bhi main roya
ye tera zarf hai tu jaanta kya baat baqi hai
shab-e-furqat ki ghaDiyan ginte ginte umr guzri hai
sahaara kya sahar deti ki dil mein raat baqi hai
fana hona tha ek din so fana hoti gai har shai
na ye baqi na wo baqi faqat ek zat baqi hai
sukun-e-dil mayassar ho 'said' us shaKHs se kaise
abhi to aaKHiri manzil pe us ki mat baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.