sitaro tum to so jao hamin diwane jagenge
sitāro tum to so jaao hamīñ dīvāne jāgeñge
shab-e-furqat meñ begāne na jaage haiñ na jāgeñge
tamanna dil-navāzī kī bil-āḳhir rang lā.egī
tumhārī aarzū kar ke faqat mastāne jāgeñge
na saaqī se na sāġhar se na mai se aur na miinā se
faqat ik tishnagī ke dam se hī mai-ḳhāne jāgeñge
havas jiine kī hai jin ko na jāgeñge vo jiite jī
jinheñ marne kā khaTkā hai vahī farzāne jāgeñge
girā kar ashk āñkhoñ se na ho rusvā zamāne meñ
na ye begāne jaage haiñ na ye begāne jāgeñge
sitaro tum to so jao hamin diwane jagenge
shab-e-furqat mein begane na jage hain na jagenge
tamanna dil-nawazi ki bil-aKHir rang laegi
tumhaari aarzu kar ke faqat mastane jagenge
na saqi se na saghar se na mai se aur na mina se
faqat ek tishnagi ke dam se hi mai-KHane jagenge
hawas jine ki hai jin ko na jagenge wo jite ji
jinhen marne ka khaTka hai wahi farzane jagenge
gira kar ashk aankhon se na ho ruswa zamane mein
na ye begane jage hain na ye begane jagenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.