sitaron ka dilkash saman chhu liya tha
sitāroñ kā dilkash samāñ chhū liyā thā
zamīñ chhoḌ kar āsmāñ chhū liyā thā
nishāñ bhī nahīñ shīsha-e-muntashir par
use tum ne jaane kahāñ chhū liyā thā
mirī ārzūeñ javāñ ho ga.iiñ thī
mohabbat kā jab āstāñ chhū liyā thā
jahāñ zindagī thī tire āsare par
vahīñ marhale kā nishāñ chhū liyā thā
tirī nā-ḳhudā.ī mujhe raas aa.ī
samundar ne to bādbāñ chhū liyā thā
'fidā' āñdhiyāñ kyoñ na le jaa.eñ hasrat
parī-rū ne merā makāñ chhū liyā thā
sitaron ka dilkash saman chhu liya tha
zamin chhoD kar aasman chhu liya tha
nishan bhi nahin shisha-e-muntashir par
use tum ne jaane kahan chhu liya tha
meri aarzuen jawan ho gain thi
mohabbat ka jab aastan chhu liya tha
jahan zindagi thi tere aasare par
wahin marhale ka nishan chhu liya tha
teri na-KHudai mujhe ras aai
samundar ne to baadban chhu liya tha
'fida' aandhiyan kyon na le jaen hasrat
pari-ru ne mera makan chhu liya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.