sitaron mein wo bahaaron mein wo fazaon mein bhi wahi dikhe hai

sitaron mein wo bahaaron mein wo fazaon mein bhi wahi dikhe hai
Seema Vijayvargeeya
MORE BYSeema Vijayvargeeya
sitāroñ meñ vo bahāroñ meñ vo fazāoñ meñ bhī vahī dikhe hai
khulā khulā sā hai ik jo chehra hazāroñ meñ bhī vahī dikhe hai
ye huuk kaisī kasak ye kaisī taḌap ye kaisī koī batā.e
na man lage ab kahīñ kidhar bhī kitāboñ meñ bhī vahī dikhe hai
ye dil ke tāroñ ko kis ne chheḌā ye kaisī sargam sunā.ī kis ne
kashish ye kaisī ye kaisā jaadū ḳhayāloñ meñ bhī vahī dikhe hai
adāoñ meñ vo vafāoñ meñ vo sadāoñ meñ vo du'āoñ meñ vo
vo dhaḌkanoñ meñ hai saañs meñ vo nigāhoñ meñ bhī vahī dikhe hai
ye 'ishq hai yā ye 'āshiqī hai ki sūfiyāna hai pyaar koī
hai kaun jo sab batā.e mujh ko savāloñ meñ bhī vahī dikhe hai
kahāñ kahāñ tak maiñ us ko DhūñDhuñ kahāñ kahāñ tak maiñ us ko jānūñ
vo kā'ba kāshī vo masjidoñ meñ shivāloñ meñ bhī vahī dikhe hai
vahī ḳhudā hai vahī hai dilbar vo merā prītam vo merā īshvar
zamīñ se le kar vo āsmāñ tak havāoñ meñ bhī vahī dikhe hai
sitaron mein wo bahaaron mein wo fazaon mein bhi wahi dikhe hai
khula khula sa hai ek jo chehra hazaron mein bhi wahi dikhe hai
ye huk kaisi kasak ye kaisi taDap ye kaisi koi batae
na man lage ab kahin kidhar bhi kitabon mein bhi wahi dikhe hai
ye dil ke taron ko kis ne chheDa ye kaisi sargam sunai kis ne
kashish ye kaisi ye kaisa jadu KHayalon mein bhi wahi dikhe hai
adaon mein wo wafaon mein wo sadaon mein wo du'aon mein wo
wo dhaDkanon mein hai sans mein wo nigahon mein bhi wahi dikhe hai
ye 'ishq hai ya ye 'ashiqi hai ki sufiyana hai pyar koi
hai kaun jo sab batae mujh ko sawalon mein bhi wahi dikhe hai
kahan kahan tak main us ko DhunDhun kahan kahan tak main us ko jaanun
wo ka'ba kashi wo masjidon mein shiwalon mein bhi wahi dikhe hai
wahi KHuda hai wahi hai dilbar wo mera pritam wo mera ishwar
zamin se le kar wo aasman tak hawaon mein bhi wahi dikhe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.