sitaron par kamanden Dalta hun
sitāroñ par kamandeñ Dāltā huuñ
maiñ apnī pastiyoñ se āshnā huuñ
maiñ yaḳh-basta havāoñ meñ ghirā huuñ
magar andar se to dahkā huā huuñ
tire har rang se har ruḳh se vāqif
tujhe tujh se ziyāda jāntā huuñ
mujhe āvāz detā hai samundar
maiñ sāhil se tamāshā dekhtā huuñ
paḌā huuñ rahguzar meñ sang-sūrat
maiñ apne hī muqaddar kā likhā huuñ
qadam uThte nahīñ bār-e-alam se
magar maiñ aur chalnā chāhtā huuñ
sitaron par kamanden Dalta hun
main apni pastiyon se aashna hun
main yaKH-basta hawaon mein ghira hun
magar andar se to dahka hua hun
tere har rang se har ruKH se waqif
tujhe tujh se ziyaada jaanta hun
mujhe aawaz deta hai samundar
main sahil se tamasha dekhta hun
paDa hun rahguzar mein sang-surat
main apne hi muqaddar ka likha hun
qadam uThte nahin bar-e-alam se
magar main aur chalna chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.