sitam-gar ke sitam par nauha-KHwani kar nahin sakte
sitam-gar ke sitam par nauha-ḳhvānī kar nahīñ sakte
hai ye ik kārobār-e-rā.egānī kar nahīñ sakte
zarā ye valvale thāmo ki manzil aane vaalī hai
abhī ham rāstoñ se bad-zabānī kar nahīñ sakte
hamesha apnā maqsad bhuul jaane vaale ye kirdār
mukammal is tarah koī kahānī kar nahīñ sakte
hasīñ ho bā-vafā ho rasm-e-ulfat bhī samajhte ho
kamī bas ye hai tum patthar ko paanī kar nahīñ sakte
madad kyoñ māñgte ho ham se tum haq kī tarah māñgo
mohabbat kar rahe haiñ mehrbānī kar nahīñ sakte
ye panchhī be-zabāñ haiñ is liye āzād uḌte haiñ
ye apne mālikoñ kī ḳhush-bayānī kar nahīñ sakte
palaT kar aa rahe haiñ phir se ḳhud kī dastaras meñ ham
ye duniyā vaale apnī mezbānī kar nahīñ sakte
sipāhī chāhte the dushmanoñ se jañg ho jaa.e
sabhī ne bādshāh kī baat maanī kar nahīñ sakte
sitam-gar ke sitam par nauha-KHwani kar nahin sakte
hai ye ek karobar-e-raegani kar nahin sakte
zara ye walwale thamo ki manzil aane wali hai
abhi hum raston se bad-zabani kar nahin sakte
hamesha apna maqsad bhul jaane wale ye kirdar
mukammal is tarah koi kahani kar nahin sakte
hasin ho ba-wafa ho rasm-e-ulfat bhi samajhte ho
kami bas ye hai tum patthar ko pani kar nahin sakte
madad kyon mangte ho hum se tum haq ki tarah mango
mohabbat kar rahe hain mehrbani kar nahin sakte
ye panchhi be-zaban hain is liye aazad uDte hain
ye apne malikon ki KHush-bayani kar nahin sakte
palaT kar aa rahe hain phir se KHud ki dastaras mein hum
ye duniya wale apni mezbani kar nahin sakte
sipahi chahte the dushmanon se jang ho jae
sabhi ne baadshah ki baat mani kar nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.