sitam jaur-o-jafa sab kuchh gawara kar liya maine
sitam jaur-o-jafā sab kuchh gavārā kar liyā maiñ ne
bachā kar un kā dāman ḳhud ko sajda kar liyā maiñ ne
mire hī sāmne jab barq ne phūñkā nasheman ko
ghaḌī bhar ke liye vo bhī nazāra kar liyā maiñ ne
baḌhī jab be-ḳhudī had se huā kyā phir ḳhudā jaane
unheñ sajda kiyā yā ḳhud ko sajda kar liyā maiñ ne
yahāñ to daad muñh dekhe kī miltī hai isī ḳhātir
suḳhan-dānoñ kī mahfil se kinārā kar liyā maiñ ne
'asar' rāh-e-vafā meñ ik maqām aisā bhī aaya thā
vahāñ pe jān-o-dil kā hañs ke saudā kar liyā maiñ ne
vahī nāgin kā kal tak zikr thā saare zamāne meñ
usī ko ab 'asar' kahte haiñ apnā kar liyā maiñ ne
sitam jaur-o-jafa sab kuchh gawara kar liya main ne
bacha kar un ka daman KHud ko sajda kar liya main ne
mere hi samne jab barq ne phunka nasheman ko
ghaDi bhar ke liye wo bhi nazara kar liya main ne
baDhi jab be-KHudi had se hua kya phir KHuda jaane
unhen sajda kiya ya KHud ko sajda kar liya main ne
yahan to dad munh dekhe ki milti hai isi KHatir
suKHan-danon ki mahfil se kinara kar liya main ne
'asar' rah-e-wafa mein ek maqam aisa bhi aaya tha
wahan pe jaan-o-dil ka hans ke sauda kar liya main ne
wahi nagin ka kal tak zikr tha sare zamane mein
usi ko ab 'asar' kahte hain apna kar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.