sitam ka ruKH ayan hote hue bhi
sitam kā ruḳh ayaañ hote hue bhī
haiñ kyoñ ham chup zabāñ hote hue bhī
shajar kī Tahniyāñ be-barg kyoñ haiñ
chaman kā bāġhbāñ hote hue bhī
batā ai nāḳhudā kyoñ Dūbtī kashtī
ye chappū bādbāñ hote hue bhī
vo bhī hai apne beToñ kī mulāzim
nahīñ hai maañ vo maañ hote hue bhī
nazar vaale sabhī kuchh dekh leñge
charāġhoñ kā dhuāñ hote hue bhī
sitam ka ruKH ayan hote hue bhi
hain kyon hum chup zaban hote hue bhi
shajar ki Tahniyan be-barg kyon hain
chaman ka baghban hote hue bhi
bata ai naKHuda kyon Dubti kashti
ye chappu baadban hote hue bhi
wo bhi hai apne beTon ki mulazim
nahin hai man wo man hote hue bhi
nazar wale sabhi kuchh dekh lenge
charaghon ka dhuan hote hue bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.