sitam ka zikr kya hum ko sitam achchhe nahin lagte
sitam kā zikr kyā ham ko sitam achchhe nahīñ lagte
ye jhūTā pyaar ye jhūTe bharam achchhe nahīñ lagte
masarrat kī farāvānī unheñ kyā raas aa.egī
jinheñ ai zindagānī tere ġham achchhe nahīñ lagte
hamāre saath chalnā hai to azm-o-hausla rakhnā
vafā kī raah meñ bahke qadam achchhe nahīñ lagte
kisī bhī qaum ke vo naujavāñ hoñ un ke hāthoñ meñ
qalam to achchhe lagte haiñ ye bam achchhe nahīñ lagte
ḳhamoshī ik haqīqat hai magar kyā kījiye is ko
hameñ mahfil meñ patthar ke sanam achchhe nahīñ lagte
unheñ tārīḳh ke aurāq meñ munkir likhā jaa.e
jo kahte haiñ hameñ dair-o-haram achchhe nahīñ lagte
jo kal tak ḳhud pe nāzāñ the hamāre ham-nashīñ ho kar
unhīñ logoñ ko ab 'bedār' ham achchhe nahīñ lagte
sitam ka zikr kya hum ko sitam achchhe nahin lagte
ye jhuTa pyar ye jhuTe bharam achchhe nahin lagte
masarrat ki farawani unhen kya ras aaegi
jinhen ai zindagani tere gham achchhe nahin lagte
hamare sath chalna hai to azm-o-hausla rakhna
wafa ki rah mein bahke qadam achchhe nahin lagte
kisi bhi qaum ke wo naujawan hon un ke hathon mein
qalam to achchhe lagte hain ye bam achchhe nahin lagte
KHamoshi ek haqiqat hai magar kya kijiye is ko
hamein mahfil mein patthar ke sanam achchhe nahin lagte
unhen tariKH ke auraq mein munkir likha jae
jo kahte hain hamein dair-o-haram achchhe nahin lagte
jo kal tak KHud pe nazan the hamare ham-nashin ho kar
unhin logon ko ab 'bedar' hum achchhe nahin lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.