Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitam karna karam karna wafa karna jafa karna

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

sitam karna karam karna wafa karna jafa karna

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

MORE BYSyed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

    sitam karnā karam karnā vafā karnā jafā karnā

    magar jo ahd kar lenā vo āḳhir tak vafā karnā

    kiyā ḳhalvat meñ mujh ko qatl aur mahfil meñ rote ho

    qayāmat Dhā ke achchhā yaad hai mahshar bapā karnā

    batā ai husn kab tak ishq taqdīr meñ āḳhir

    ba-minnat dil diyā karnā ba-hasrat muñh takā karnā

    na dil vāpas na dildārī ye kyā sheva hai tum ko to

    na aayā qarz adā karnā na aayā farz adā karnā

    sharāb-e-ishq har millat meñ har maz.hab meñ jaa.ez hai

    ye kyā aafat hai ai vaa.iz ravā ko nāravā karnā

    nigāh-e-mast-e-sāqī bāda-ḳhvāroñ se ye kahtī hai

    butoñ jab nazar se gir paḌo yād-e-ḳhudā karnā

    tumhārā nām-levā mo'taqid aulād-e-mid.hat-gar

    'saḳhā' mushkileñ hal yā-alī mushkil-kushā karnā

    sitam karna karam karna wafa karna jafa karna

    magar jo ahd kar lena wo aaKHir tak wafa karna

    kiya KHalwat mein mujh ko qatl aur mahfil mein rote ho

    qayamat Dha ke achchha yaad hai mahshar bapa karna

    bata ai husn kab tak ishq ki taqdir mein aaKHir

    ba-minnat dil diya karna ba-hasrat munh taka karna

    na dil wapas na dildari ye kya shewa hai tum ko to

    na aaya qarz ada karna na aaya farz ada karna

    sharab-e-ishq har millat mein har mazhab mein jaez hai

    ye kya aafat hai ai waiz rawa ko narawa karna

    nigah-e-mast-e-saqi baada-KHwaron se ye kahti hai

    buton ki jab nazar se gir paDo yaad-e-KHuda karna

    tumhaara nam-lewa mo'taqid aulad-e-midhat-gar

    'saKHa' ki mushkilen hal ya-ali mushkil-kusha karna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now