sitam karne wale sitam kar rahe hain
sitam karne vaale sitam kar rahe haiñ
ham ahl-e-karam haiñ karam kar rahe haiñ
sitamgar kī āñkhoñ ko nam kar rahe haiñ
jo mushkil thā vo kaam ham kar rahe haiñ
ḳhudā un ko rahmat se kaise navāze
jo sar apnā har dar pe ḳham kar rahe haiñ
bahut yaad aate haiñ maazī ke jhoñke
vahī merī āñkhoñ ko nam kar rahe haiñ
zarūr is meñ hai maslahat koī varna
vo kyoñ mujh pe itnā karam kar rahe haiñ
ujālā hai mahfil meñ jin kī badaulat
unheñ aap mahfil se kam kar rahe haiñ
nigāhoñ meñ us kā tasavvur bhī rakhiye
agar aap sar apnā ḳham kar rahe haiñ
sitam karne wale sitam kar rahe hain
hum ahl-e-karam hain karam kar rahe hain
sitamgar ki aankhon ko nam kar rahe hain
jo mushkil tha wo kaam hum kar rahe hain
KHuda un ko rahmat se kaise nawaze
jo sar apna har dar pe KHam kar rahe hain
bahut yaad aate hain mazi ke jhonke
wahi meri aankhon ko nam kar rahe hain
zarur is mein hai maslahat koi warna
wo kyon mujh pe itna karam kar rahe hain
ujala hai mahfil mein jin ki badaulat
unhen aap mahfil se kam kar rahe hain
nigahon mein us ka tasawwur bhi rakhiye
agar aap sar apna KHam kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.