sitam ke parde mein phir karam kar sukun ko iztirab kar de
sitam ke parde mein phir karam kar sukun ko iztirab kar de
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
sitam ke parde meñ phir karam kar sukūn ko iztirāb kar de
dil-e-fasurda ko zindagī de shabāb ko phir shabāb kar de
ye maanā lākhoñ hikāyateñ haiñ hazāroñ dil meñ shikāyateñ haiñ
magar kaheñ kyā jo ik nazar meñ koī hameñ lā-javāb kar de
Thahar dil-e-be-qarār dam bhar vo aa.e haiñ be-hijāb ho kar
sambhal ki ye iztirāb-e-nau hī kahīñ na haa.il naqāb kar de
vo ālam-e-be-ḳhudī ho dil par vo kaifiyat be-hisī kī chhā.e
jo ārzū-e-karam miTā de jo be-niyāz-e-itāb kar de
na aa.egā lab pe harf-e-matlab na khul sakegī zabān-e-'kaifī'
nigāh-e-hasrat ko tarjumāñ kar ḳhamoshiyoñ ko javāb kar de
sitam ke parde mein phir karam kar sukun ko iztirab kar de
dil-e-fasurda ko zindagi de shabab ko phir shabab kar de
ye mana lakhon hikayaten hain hazaron dil mein shikayaten hain
magar kahen kya jo ek nazar mein koi hamein la-jawab kar de
Thahar dil-e-be-qarar dam bhar wo aae hain be-hijab ho kar
sambhal ki ye iztirab-e-nau hi kahin na hail naqab kar de
wo aalam-e-be-KHudi ho dil par wo kaifiyat be-hisi ki chhae
jo aarzu-e-karam miTa de jo be-niyaz-e-itab kar de
na aaega lab pe harf-e-matlab na khul sakegi zaban-e-'kaifi'
nigah-e-hasrat ko tarjuman kar KHamoshiyon ko jawab kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.