sitam ki aarzu ai bad-guman baqi na rah jae
sitam ki aarzu ai bad-guman baqi na rah jae
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
sitam kī aarzū ai bad-gumāñ baaqī na rah jaa.e
koī ahl-e-vafā kā imtihāñ baaqī na rah jaa.e
ba-tarz-e-nau sunāyā bārhā afsāna-e-hastī
ki ġham kā koī andāz-e-bayāñ baaqī na rah jaa.e
jahāñ tak ho sake tujh se har ik lai meñ pukār un ko
dil-e-mahzūñ koī tarz-e-fuġhāñ baaqī na rah jaa.e
har ik mansūr kā dār-o-rasan se sāmnā hogā
ġharaz ye hai ki koī rāzdāñ baaqī na rah jaa.e
na ho anjām merā jo huā farhād-o-majnūñ kā
miTāo is tarah nām-o-nishāñ baaqī na rah jaa.e
mashiyyat bhī mujhe taslīm hai taqdīr bhī lekin
koī tadbīr ahl-e-kārvāñ baaqī na rah jaa.e
kabhī ġhairoñ ne parkhā thā ab apne āzmāte haiñ
mirī himmat kā koī imtihāñ baaqī na rah jaa.e
ta.ajjub to ye hai ab bāġhbāñ ne dil meñ Thānī hai
chaman meñ koī shāḳh-e-āshiyāñ baaqī na rah jaa.e
'shifā' īsār meñ pābandī-e-dair-o-haram kaisī
mire sajdoñ meñ qaid-e-āstāñ baaqī na rah jaa.e
sitam ki aarzu ai bad-guman baqi na rah jae
koi ahl-e-wafa ka imtihan baqi na rah jae
ba-tarz-e-nau sunaya barha afsana-e-hasti
ki gham ka koi andaz-e-bayan baqi na rah jae
jahan tak ho sake tujh se har ek lai mein pukar un ko
dil-e-mahzun koi tarz-e-fughan baqi na rah jae
har ek mansur ka dar-o-rasan se samna hoga
gharaz ye hai ki koi raazdan baqi na rah jae
na ho anjam mera jo hua farhad-o-majnun ka
miTao is tarah nam-o-nishan baqi na rah jae
mashiyyat bhi mujhe taslim hai taqdir bhi lekin
koi tadbir ahl-e-karwan baqi na rah jae
kabhi ghairon ne parkha tha ab apne aazmate hain
meri himmat ka koi imtihan baqi na rah jae
tajjub to ye hai ab baghban ne dil mein Thani hai
chaman mein koi shaKH-e-ashiyan baqi na rah jae
'shifa' isar mein pabandi-e-dair-o-haram kaisi
mere sajdon mein qaid-e-astan baqi na rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.