sitam ki tegh ye kahti hai sar na uncha kar
sitam kī teġh ye kahtī hai sar na ūñchā kar
pukārtī hai bulandī ki zindagī hai idhar
chaman meñ ham na raheñge tire palaTne tak
Thahar Thahar zarā jaatī huī bahār Thahar
koī fareb na khaa.e safed-poshī se
na jaane kitne sitāre nigal ga.ī hai sahar
tū jauhrī hai to zebā nahīñ tujhe ye gurez
mujhe parakh mirī shohrat kā intizār na kar
'hafīz' kitne hī chehre udaas hone lage
hamāre fan ko sarāheñ bahut na ahl-e-nazar
sitam ki tegh ye kahti hai sar na uncha kar
pukarti hai bulandi ki zindagi hai idhar
chaman mein hum na rahenge tere palaTne tak
Thahar Thahar zara jati hui bahaar Thahar
koi fareb na khae safed-poshi se
na jaane kitne sitare nigal gai hai sahar
tu jauhri hai to zeba nahin tujhe ye gurez
mujhe parakh meri shohrat ka intizar na kar
'hafiz' kitne hi chehre udas hone lage
hamare fan ko sarahen bahut na ahl-e-nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.