sitam ko jo sitam kahta nahin hai
sitam ko jo sitam kahtā nahīñ hai
vo achchhā aadmī achchhā nahīñ hai
qabīle meñ koī aisā nahīñ hai
adū se jis kā samjhauta nahīñ hai
maiñ lāshoñ ko sadā.eñ de rahā huuñ
ki zindoñ meñ koī zinda nahīñ hai
mirī poshāk par paivand to haiñ
mirī poshāk par dhabba nahīñ hai
hilānā haath terā jaate jaate
vo manzar aaj bhī bhūlā nahīñ hai
safar meñ aa ga.ī ye kaisī manzil
jahāñ aage koī rasta nahīñ hai
hamārī aah par bahseñ bahut haiñ
tumhāre jurm kā charchā nahīñ hai
adā-e-shaiḳh-sarhindī salāmat
kisī bul-fazl se rishta nahīñ hai
sunā hai zill-e-sub.hānī haiñ nārāz
abhī 'bazmī' to kuchh bolā nahīñ hai
sitam ko jo sitam kahta nahin hai
wo achchha aadmi achchha nahin hai
qabile mein koi aisa nahin hai
adu se jis ka samjhauta nahin hai
main lashon ko sadaen de raha hun
ki zindon mein koi zinda nahin hai
meri poshak par paiwand to hain
meri poshak par dhabba nahin hai
hilana hath tera jate jate
wo manzar aaj bhi bhula nahin hai
safar mein aa gai ye kaisi manzil
jahan aage koi rasta nahin hai
hamari aah par bahsen bahut hain
tumhaare jurm ka charcha nahin hai
ada-e-shaiKH-sarhindi salamat
kisi bul-fazl se rishta nahin hai
suna hai zill-e-subhani hain naraaz
abhi 'bazmi' to kuchh bola nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.