sitam ko rahm dhoke ko bharosa paDh nahin sakta
sitam ko rahm dhoke ko bharosa paḌh nahīñ saktā
bure ko maiñ burā kahtā huuñ achchhā paḌh nahīñ saktā
kamī shāyad merī kuchh tarbiyat meñ rah ga.ī hogī
ki shab kī tīrgī ko maiñ ujālā paḌh nahīñ saktā
nazar nazdīk kī merī bahut kamzor hai shāyad
isī ḳhātir to maiñ chehroñ ko puurā paḌh nahīñ saktā
bahut kuchh paḌh bhī saktā huuñ paḌhāye gar koī mujh ko
merā ye mas.ala hai maiñ akelā paḌh nahīñ saktā
ajab ik maḳhmase meñ paḌ gayā huuñ 'āftāb-ahmad'
ki apnā likh nahīñ saktā parāyā paḌh nahīñ saktā
sitam ko rahm dhoke ko bharosa paDh nahin sakta
bure ko main bura kahta hun achchha paDh nahin sakta
kami shayad meri kuchh tarbiyat mein rah gai hogi
ki shab ki tirgi ko main ujala paDh nahin sakta
nazar nazdik ki meri bahut kamzor hai shayad
isi KHatir to main chehron ko pura paDh nahin sakta
bahut kuchh paDh bhi sakta hun paDhaye gar koi mujh ko
mera ye masala hai main akela paDh nahin sakta
ajab ek maKHmase mein paD gaya hun 'aftab-ahmad'
ki apna likh nahin sakta paraya paDh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.