Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitamgar ki nawazish ho rahi hai

Shahbaz Shamsi

sitamgar ki nawazish ho rahi hai

Shahbaz Shamsi

MORE BYShahbaz Shamsi

    sitamgar navāzish ho rahī hai

    mirī āñkhoñ se bārish ho rahī hai

    hameñ vo dast-e-nāzuk chhū gayā thā

    badan meñ ab bhī larzish ho rahī hai

    simaTtā rahā hai hijr terā

    azāb-e-jāñ se baḳhshish ho rahī hai

    kuchh aise aa ke us ne haal pūchhā

    thamī dhaḌkan meñ jumbish ho rahī hai

    tumhāre hijr mahfil sajī hai

    tumhāre ġham se pursish ho rahī hai

    are 'shahbāz' kyā likhne lage ho

    qalam par tere bandish ho rahī hai

    sitamgar ki nawazish ho rahi hai

    meri aankhon se barish ho rahi hai

    hamein wo dast-e-nazuk chhu gaya tha

    badan mein ab bhi larzish ho rahi hai

    simaTta ja raha hai hijr tera

    azab-e-jaan se baKHshish ho rahi hai

    kuchh aise aa ke us ne haal puchha

    thami dhaDkan mein jumbish ho rahi hai

    tumhaare hijr ki mahfil saji hai

    tumhaare gham se pursish ho rahi hai

    are 'shahbaz' kya likhne lage ho

    qalam par tere bandish ho rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now