sitamgar yar ki aisi ki taisi
sitamgar yaar kī aisī kī taisī
dil-e-lāchār kī aisī kī taisī
baḌhā.e aur bhī ehsās-e-ġham jo
ho us ġham-ḳhvār kī aisī kī taisī
hañsī jo hāl-e-dil sun kar uḌaa.e
ho us dildār kī aisī kī taisī
na jis meñ kuchh ḳhulūs-o-dilrubā.ī
ho us iqrār kī aisī kī taisī
sanam kī diid bahlā.e na jis ko
ho us bīmār kī aisī kī taisī
na chashm-e-yār jis se DabDabā.e
ho us iz.hār kī aisī kī taisī
rahā jo be-ruḳhī kā tarjumāñ jo
ho us me.aar kī aisī kī taisī
kareñ gumrāh jo nām-e-ḳhudā par
ho un aqdār kī aisī kī taisī
nazar aa.e na jis ko juz sharārat
dil-e-bedār kī aisī kī taisī
agar bachche hoñ fāqoñ se bilakte
ho us tehvār kī aisī kī taisī
nazar aa.e jo kāñToñ kā bichhaunā
ho us gulzār kī aisī kī taisī
jo mushkil daur meñ āñkheñ churā.e
are us yaar kī aisī kī taisī
fan-e-ta.amīr se nā-āshnā jo
ho us me.amār kī aisī kī taisī
na sar dushman kā jo kaaTe rafīqo
ho us talvār kī aisī kī taisī
na jaane farq-e-āb-o-mai jo hamdam
ho us mai-ḳhvār kī aisī kī taisī
rulā.e har ghaḌī tujh ko jo 'anvar'
tire us pyaar kī aisī kī taisī
sitamgar yar ki aisi ki taisi
dil-e-lachaar ki aisi ki taisi
baDhae aur bhi ehsas-e-gham jo
ho us gham-KHwar ki aisi ki taisi
hansi jo haal-e-dil sun kar uDae
ho us dildar ki aisi ki taisi
na jis mein kuchh KHulus-o-dilrubai
ho us iqrar ki aisi ki taisi
sanam ki did bahlae na jis ko
ho us bimar ki aisi ki taisi
na chashm-e-yar jis se DabDabae
ho us izhaar ki aisi ki taisi
raha jo be-ruKHi ka tarjuman jo
ho us mear ki aisi ki taisi
karen gumrah jo nam-e-KHuda par
ho un aqdar ki aisi ki taisi
nazar aae na jis ko juz shararat
dil-e-bedar ki aisi ki taisi
agar bachche hon faqon se bilakte
ho us tehwar ki aisi ki taisi
nazar aae jo kanTon ka bichhauna
ho us gulzar ki aisi ki taisi
jo mushkil daur mein aankhen churae
are us yar ki aisi ki taisi
fan-e-tamir se na-ashna jo
ho us meamar ki aisi ki taisi
na sar dushman ka jo kaTe rafiqo
ho us talwar ki aisi ki taisi
na jaane farq-e-ab-o-mai jo hamdam
ho us mai-KHwar ki aisi ki taisi
rulae har ghaDi tujh ko jo 'anwar'
tere us pyar ki aisi ki taisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.